Thursday, August 29, 2013

Teri muskurahat mein na sahi
Tere uljhe hue balon mein
Teri nigahon mein na sahi
Tere bechain khayalon mein
Mere javabon mein na sahi
Tere nashtarnuma sawalon mein
Yakinan main tere ird gird hoon
Tere aaj mein na sahi
Tere beete hue saalon mein
Beshaq main vahin hooon
Teri mehfil mein na sahi
Tere ghar ke tanha jalon mein
Par main hoon
Aur yakinan yahin hoon
Teri zubaan pe na sahi
Par tere sabhi halon mein

Sach hai ki sab fareb hai
Meri baatein , mere khyal
Meri jirah, mere sawal
Kyunki main tere liye hoon hi nahin
To phir bhala mere liye
Tu kaise ho sakta hai
Jab main teri duniya mein nahin
To bhala tu meri duniya mein kaise
Is baat ka ab tak mujhe sakta hai

No comments:

Post a Comment

आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...