Sunday, October 28, 2012

bisre hamrahi

Gunaah mera bas itna hai ki,
maang rahi hoon saath tumhara
jinme saunpa gaya tha mera haath,
maang rahi hoon wohi hath tumhara,
woh mohabbat kya mohabbat hai,
jo ki jaye farz ki tarah
woh zindagi neeras hi nahin, aatmdahi hai
jo bitayi jaye ek purane karz ki tarah
mana hum ek dooje se bezaar nahin
rehte hain saath phir kyon
ek-dooje se darokar nahin
kya sirf isliye ki hamari pasand,
hamari ummeedein juda hain
par kya sirf hamari khudgarz khwahishen
hamari khuda hain
sahi hai ki hum apni phitrat badal nahin sakte
par chahen to kya thoda sambhal nahin sakte'
"chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono"
chalo phir sirf humsafar ban jaayen hum dono
"na main tumse koi ummeed rakhoon dilnawazi ki"
na koi adna wajah  ho hamari narazgi ki
aayo phir se jeele yeh zindagi
zabt nahin aayo banaye ise bandagi


* I have used 2 lines from 'the wizard' Sahir's immortal song penned for the movie Gumraah because these were the most appropriate lines here and came in reflexively.
Few word meanings:
aatmdahi - self-destructive, bezaar - annoyed, dar-o-kar - concerned, phitrat - nature, adna - small, zabt - tolerance, bandagi - prayer

Friday, October 26, 2012

sheher se gaanv tak

hamare desh mein aaj bhi cappuccino nahin ubli chai hai,
'Hi' to sirf shehro main hai, gaawon mein aaj bhi 'hai' hai
chaudi sadakein, AC busein, saaf platform, sukhdayi seat,
kacchi sadkein, charmarati gaadiyan, latakte log, kabootar ki beat,
par kuchh cheezein aaj bhi milti hai mere gaanv mein,
nadi ka kinara, chain ki neend peeple ki chhanv mein
phursat aur id ke chaand si hansi
nahin jaan maathe ki shikanon mein phansi
keechad mein phisal kar gir jaane par anjano ke saath hasna
na ki gaadiyon ke touch ho jaane par saanp sa dasna
suraj ka vaadiyon se ug kar patton se jhankna
bina bahane ke padosi se shakkar mangna
alarm se uth, office ki bus pakadne ko bhagna,
chhoot jaane par man masos kar lift mangna
sach hai bahut fark hai gaanv aur sheher mein,
dono hi acche lagte hai alag-alag peher mein.

Thursday, October 25, 2012

neither rain, nor sea

you think a cloud i am
and sometimes a rain,
but i have never gone
with no need to promise to come again
'cause neither am i sea, nor rain, not even a cloud
I never flash, neither do i make a thunder so loud
i am a part of your life everyday
sometimes within you and sometimes in the sea at bay
sometimes you feel me and sometimes am like a dream
hard as ice at times i may feel or ephemeral like steam
its not my attitude, may be that's the nature
sublime I may appear, but I am just 'water'

Friday, October 19, 2012

ghusedu

sala kya zindagi hai
kabhi main ukhadu, kabhi main udhedu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
tumne roz hi to mujhko hai phoda,
aaj jee bhar ke main bhi tumko phodu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
kabhi sab par hoon main chhaya
kabhi item bin bulaya,
kabhi gadheda hoon main aur kabhi ghodu,
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
pehle maine bhashan pela,
phir usko hi jhela
kabhi fatela hoon main aur kabhi todu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
mungta hai kabhi sara yeh jahaan re
aur kabhi isse hi freedom
kabhi ye mere peechhe, kabhi main iske peechhe
lekin race to lagi hi hai hardam
kabhi lagti mujhko simple aur kabhi bakhedu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
baras chalis mein main assi ho gaya hoon,
tha sayana ab main khassi ho gaya hoon
zindagi hai buddhi,arre main to jawan hoon
par jata jahan hoon, wahan pahunchta kahan hoon
khila rahi hai bahut mujhko, hai yeh thapedu,
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
aur kya main isko bolun, apni zindagi se zindagi ko 'get-out' bol dala
lekin isne khudko mujh mein hi bhonk dala
ab pakad ke isko dono haathon se, sab ko maine dara hai dala
koi soche hai ye khanjar aur koi samjhe isko bhala
saali mujhko hi kaat-ti hai, isko jitna bhi main todu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu..................

Wednesday, October 17, 2012

tera saath

na manzil ki arzoo hai, na raste ka ilm,
bas tera saath mil jaaye, to waqt accha guzar jata hai!
Neither panache, nor fortune
your company is my serendipity!
aisa nahin ki ab koi ghum nahin, ya khushi ka koi bima hai,
bas tere saath se yeh hyaat asan hui jaati hai
howsoever many words i may put it in,
yet i want to say more,
like the feeling i get, keeps on building up
never achieves climax, never goes to yore!
intehaa hoti hi nahi, kambakht ye kaisa ehsaas hai,
na jaane aur kya doondhta rehta hoon, jab tu mere paas hai!

Saturday, October 13, 2012

patangein pyari pyari

बच्चे हैं, पतंग हैं,
सुंदर हैं, कोमल हैं, दिल की उमंग हैं
अपने दिमाग से इनको थोडा मोड़ दो
ध्यान से, कहीं उत्साह में न तोड़ दो,
बांधों फिर इन्हें प्यार से अपने,
उड़ने दो, फिर देखने दो इन्हें सपने,
ढील दो, लहराने दो
पर डोर टूटे ना
गति इनकी हो,
पर दिशा का ध्यान छूटे  ना
आँख से ओझल न हों,
दूर चाहे हों  जितने,
तुम से सम्बन्ध बना रहे
चाहे भीड़ में हो कितने,
फिर आनंद ही आनंद है अपार
पायोगे इनसे, जितना करोगे प्यार।



आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...