Friday, October 19, 2012

ghusedu

sala kya zindagi hai
kabhi main ukhadu, kabhi main udhedu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
tumne roz hi to mujhko hai phoda,
aaj jee bhar ke main bhi tumko phodu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
kabhi sab par hoon main chhaya
kabhi item bin bulaya,
kabhi gadheda hoon main aur kabhi ghodu,
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
pehle maine bhashan pela,
phir usko hi jhela
kabhi fatela hoon main aur kabhi todu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
mungta hai kabhi sara yeh jahaan re
aur kabhi isse hi freedom
kabhi ye mere peechhe, kabhi main iske peechhe
lekin race to lagi hi hai hardam
kabhi lagti mujhko simple aur kabhi bakhedu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
baras chalis mein main assi ho gaya hoon,
tha sayana ab main khassi ho gaya hoon
zindagi hai buddhi,arre main to jawan hoon
par jata jahan hoon, wahan pahunchta kahan hoon
khila rahi hai bahut mujhko, hai yeh thapedu,
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu
aur kya main isko bolun, apni zindagi se zindagi ko 'get-out' bol dala
lekin isne khudko mujh mein hi bhonk dala
ab pakad ke isko dono haathon se, sab ko maine dara hai dala
koi soche hai ye khanjar aur koi samjhe isko bhala
saali mujhko hi kaat-ti hai, isko jitna bhi main todu
ghusedu, ghusedu, yeh zindagi ghusedu..................

No comments:

Post a Comment

आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...