Sunday, October 28, 2012

bisre hamrahi

Gunaah mera bas itna hai ki,
maang rahi hoon saath tumhara
jinme saunpa gaya tha mera haath,
maang rahi hoon wohi hath tumhara,
woh mohabbat kya mohabbat hai,
jo ki jaye farz ki tarah
woh zindagi neeras hi nahin, aatmdahi hai
jo bitayi jaye ek purane karz ki tarah
mana hum ek dooje se bezaar nahin
rehte hain saath phir kyon
ek-dooje se darokar nahin
kya sirf isliye ki hamari pasand,
hamari ummeedein juda hain
par kya sirf hamari khudgarz khwahishen
hamari khuda hain
sahi hai ki hum apni phitrat badal nahin sakte
par chahen to kya thoda sambhal nahin sakte'
"chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayen hum dono"
chalo phir sirf humsafar ban jaayen hum dono
"na main tumse koi ummeed rakhoon dilnawazi ki"
na koi adna wajah  ho hamari narazgi ki
aayo phir se jeele yeh zindagi
zabt nahin aayo banaye ise bandagi


* I have used 2 lines from 'the wizard' Sahir's immortal song penned for the movie Gumraah because these were the most appropriate lines here and came in reflexively.
Few word meanings:
aatmdahi - self-destructive, bezaar - annoyed, dar-o-kar - concerned, phitrat - nature, adna - small, zabt - tolerance, bandagi - prayer

No comments:

Post a Comment

आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...