Thursday, December 22, 2016

VM newschannel

Vyarth malhotra"namaskar, Aaj ki sabse badi khabar jo dil dehla dene wali hai aayiye us par nazar daalte hain. Aaj 'bhindiyan against water-melon' yani ki BAW party ki meeting main regress party ke ek ghuspaithiye ne joote se ghatak hamla kiya. BAW ke chief Ungrind Kesaridal ke bal, bal bal bache. AAyiye hum aapko ghatna sthal par le chalte hain jahan hamare samwad data chipak dorasssiyan chipke hue hain"
Vyarth "Haan, Chipak, batayiye aaj kya hua"
Chipak waiting in anticipation.
VM"kya hamari awaz aap tak pahunch rahi hai, lagta hai ye sarkar ki tarah mehsoos kar hain, hamari awaz in tak nahin pahunch rahi"
Chipak making certain movements of mouth.
VM " Chipak ab aapki awaz hum tak nahin pahunch rahi"
Chipak"Nahin maine to abhi kuchh bola hi nahin, main to apna khana khatam kar raha tha"
VM " To Chipak humein batayein aaj kya hua"
Chipak "namaskar, Aaj ki sabse badi khabar jo dil dehla dene wali hai aayiye us par nazar daalte hain. Aaj 'bhindiyan against water-melon' yani ki BAW party ki meeting main regress party ke ek ghuspaithiye ne joote se ghatak hamla kiya. BAW ke chief Ungrind Kesaridal ke bal, bal bal bache."
VM "ye to main bol chuka hoon, aap apni script sunayein"
Chipak " to aayiye nazar dalte hain us mahan joote par jo ki koi sadharan joota nahin hain. yeh hai woh joota. ise gaur se dekhiye, kya ye masoom dikhne wala joota kisi ko ghayal kar sakta hai. Ise aur karib se dekhiye, kya ye joota nikki ka hai, ya rebhaunk ka hai, ya phir ye bhata ka hai. iski jaankari prapt karne ke liye humne bhata company ke malik jwarbhata se baat ki.
"haan ji jwar bhata ji aapka kya kehna hai?
" Ji hamara is hadse se koi lena dena nahin hai'
" kya ye joota aapki company ka hai"
"Ji humne is kism ke joote 2009-2011 ke beech banaye lekin hamara joota kisi bhi party ke log matr kuchh rupye aur 95 paise mein kharid sakte hai, hume kisi vishesh party ke liye kisi joote ka nirman nahin kiya'
'95 paise kyon"
" woh hamara totka hai
"sale badhane ka?"
"nahin, logon ko bewakoof banane ka"
"aapko kya lagta hai kya ye joota apki company ka ho sakta hai"
"is samay kuchh bhi kehna theek nahin, abhi humein apne records check karne honge lekin ye baat saf hai ki is ghatna main hamara koi haath nahin hai, isme kya hamara kisi bhi ghatna mein koi haath nahin hai"
" aap aisa kaise keh sakte hain"
" kyunki joota hum sirf pairon ke kiye banate hain, naki haath ke liye. Isme rebhaunk company ka haath ho sakta hai, wo gloves bhi banate gain"
Chipak" jaisa ki aapne dekha jwarbhata ji naye joote ki tarah saaf bach kar nikal gaye aur rebhaunk company par ilzaam madh diya. Aaiye abh aapko rebhaunk company ke maalik shri Tommy bowie se milwate hain"
Tommy' bow wow"
Chipak ' Ji aap bhaunk kyon rahen hain"
 Tommy " bow wow"
Chipak" app phir bhaunke"
Tommy "ji nahin, do baar bhaunkne ki awaz, ye hamari signture tune hai, hum rebhaunk hai na"
Chipak "aapka is ghatna ke baare mein kya kehna hai?"
Tommy " Ghatna bahut kharab hai, hum sirf badhne mein vishwas karte hain, aap hamari sales figure utha ke dekhiye, hamesha badhti hain, kabhi ghatti nahin"\
Chipak " aapka is joote ke baare mein kya kehna hai"
Tommy " ye joota, hamara nahin hain, humne apne joote pehan rakhe hain"
Chipak " par is joote par apka logo hai?"
Tommy " Logon ka kya hai, kuchh to log kahenge, logon ka kaam hai kehna!"
Ch " Logon nahin, logo, symbol"
Tommy " Logo, arre, airport mein kitne haath bane hain, to kya woh kisi party ka ho gaya, aur fir logo to duplicate bhi ho sakta hai'
Ch " lekin apki signature tune hai bow wow aur party ka naam hai 'BAW', isliye hamein yakeen hai, aap bhi is haadse se jude hue hain"
Tommy kuchh bolta hai par audible nahin hai!
Vyarth malhotra "Lagta hai satellite problem hai, to aapne dekha ki sabse pehle hamare channel ne 'breaking news' mein news to tod marod kar ye saabit kar diya ki iss mamuli dikhne wale ghatna kram ke peeche bade bade industrialists ka haath hai, ab dekhna ye hai ki 'BAW' ka agla kadam kya hoga, aayiye unke spokesperson se baat karte hain jo hamare studio mein upasthit hain"
" namaskar, ab apka agla kadam kya hoga?"
"ji, agla kadam lene se pehle hamein doosra joota dhoondhna hoga"
"ye pata lagane ke liye ki joota kiska tha??"
"nahin, ek joota pehan kar kitni door jaayenge!"


No comments:

Post a Comment

आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...