Wednesday, January 23, 2013

kaash koi hota!

kehte ho ki khoj khuda ko,
mujhe to yahan banda nahin milta.
mere aansuon ka sahara ho,
mujhe wo kandha nahin milta.
jinko samajh sahara zindagi ka
hum saath le chale thei,
kyun hamari adna si khushi se
sabse pehle wo hi jale thei.
socha tha ki jo
bikharne se humein rok lenge,
wo yahi hain,
unko hi samette samet-te
gujarti zindagi
ja rahi hai,
ab ye jaana hai maine
ki main hi naiyya ho, sahil hoon
hoon patwaar main hi,
main hi shiqayat hoon,
hoon gamkhwar main hi
mujh se hi hain intezaam sabhi
mujh pe hi ilzaam bhi, ittihaam bhi
main hi abtaar hoon,
main hi ibtisaam bhi.
kaash! koi hota!!

word meaning
ittihaam = blame
abtar - ruins
ibtisam - smile

No comments:

Post a Comment

आघात या घात का तात्पर्य

 घात - 'घात' शब्द अनेकों रूप में प्रयोग किया जाता है! इसका एक सामान्य अर्थ होता है 'छुप कर वार करना'। घात शब्द का गणित में प...